Wednesday, March 1, 2017

Blog Website Ki Traffic Badhane Ke Liye Top Tricks

Blog Website Ki Traffic Badhane Ke Liye Top Tricks


Blog (Website) Ki Traffic Badhne Ke Liye Top Tricks


Blog Ya Website ka traffic badna itna aasan kam nahi but itna muskil bhi nahi hai aaj mai apne is post me traffic ki charcha karne wala hu agar aapka blog ka bhi traffic bahut kam hai aur agar aap apne site ka traffic jyada karna Chahte hai to aap mere post ko dhyan se padhe aaj mai Yaha par aapko apne site ke traffic badhane ki top 8 popular tricks bataunga jiski madad se aapke site blog ya website ki traffic bahut jyada ho jayegi apne blog ya website ki traffic badana jyada muskil kaam nahi bas hame kuch rules follow karne padte hai to chaliye dosto jante hai ki hum apne blog ya website ki traffic kaise badaye



website-ki-traffic-kaise-jyada-kare

Website Ya Blog Ki Traffic Jyada Karne Ke 10 Most Popular Tricks


Dosto Yaha Par mai aapko 8 tricks bataunga jisko follow karke aap apne website ki traffic kafi had tak badha sakte hai



1: Unique Post Title:
2: Unique Post Description:
3: Use Fast Loading Template:
4: Post Social Media Par Share Kare
5: Submit Site At Search Engine:
6: Guest Post:
7: Ad Word:
8: Domain:
9: Keywords
10: Meta Tags:

Blog Ya Website Ki Traffic Kaise Badaye



Unique Post Title:

Hello Dosto Jab Aap Apna Post Likhte Hai to use pehle aapko ek best title ko select karna hota hai jo aap sahi se select nahi kar pate jisse aapke post ka traffic nahi mil pata hai to dosto mai aapse bolna chahta hu ki jab aap apna post likhe to use pehle apna title select karle aur tital me ( Best, Super, Killer,Good,top,) aise word ka use kare jisse vigitor aapka post title pasand aaye aur wo aapke Title par click kare aur aap kisi ka bhi tital copy naa kare same title ko google aapke post ko ignore kar sakta hai




Unique Post Description:

agar aap apne post ka description use nahi karte hai to ye bahut buri bat hai aap apne post se related description jarur dale jisse visitor ko samajh me aasake ki aapke post me kya kya hai aap aisa description dale ki visitor samajh jaye ki aapki post quality wali hai aur wo aapke post ko jarur padhe




Use Fast Loading Template:


Aap apne blog ya website me fast loading wala template use kare jisse aapke visitor ko koi pare sani naa ho aur haa apka template aisa hona chahiye seo friendly aur mobile friendly jisse aapka blog ya website search me jaldi aaye aur aapka blog ya website ka look mobile me bhi atcha dikh sake aur dosto aap is bat ka jarur dhyan de ki aapne apne blog ka design kaisa kiya hai agar aapne apne site ka design atcha kiya hoga to aapke visitor aapke site par jarur aayege kyoki jyada tar visitor atcha lokk aur fast loading wale website par jate hai



Post Social Media Par Share Kare

Dosto Agar Aap Apna Post likhne ke bad post ko share nahi karte hai to ye bahut badi galti ho sakti hai aapki aap apna post likhne ke bad social media sites par share jarur kare jisse aapki traffic to jyada hogi hi sath me aapke site ko kitne log jaan payege ki aapki site par kya kya hai aur wo aapke site par jarur aayege to dosto post publish karne ke bad apna post share jarur kare



Submit Site At Search Engine:

Dosto Agar Aapne Apna Site Google yahoo Bing jaise search engine me submit nahi kiye hai to aap apna site search engine me jarur add karle kyoki agar aapne ise ignore kar diya to samajheye aapke site par traffic kabhi nahi aayega to dosto aap apna site search engine me jarur add kare aur sath hi sath aap apne site ka sitemap jarur add kare



Guest Post:

Dosto Guest Post ka matlab hota hai ki hum apna post likh ke dusre site par publish kare dosto hame apna post aise site par guest post karna chahiye jiski traffic high ho guest post se aapko fyada ye hoga ki us site ke jo visitor honge wo aapke site par bhi ayenge jisse aapki traffic kafi badh sakti hai aur guest post karte samay aapko ye dhyan rakhna chahiye ki us site ka traffic jyada ho aur guest post likhne ke bad aap us post me apna naam aur website jarur de aur sath me ye bhi likhe ki aap hamare site par jarur aaye to yahi hai guest post ka asli maksad




Ad Word:

Ad Word se hum apne blog ka ad bnake add karte hai ki jab koi visitor search engine me koi Jankari search kare to aur aapke site me keyword use related hai to aapka site bhi search me sabse upper aaye ye hai ad word ka kaam aur agar aap ad word ka use karte hai to isse bhi aapke blog ka traffic kafi had tak badh sakti hai

Note: adword aapke site ka promation bhi kar sakta hai lekin ye free nahi hai agar aap apna promation karna chahe to aap ad word use kar sakte hai



Domain

dosto agar aap apne blog me domain add nahi kiya hai to mai aapse bolna chahta hu ki aap apne blog me domain add jarur kare isse bhi aapki traffic bahut badh sakti hai waise bhi maine domain nahi liya hai lekin mai ab lene wala hu domain lene se aapko bahut fyada milega aapki site k ranking badhega aur traffic bhi to aap bhi domain jarur add kare




Keywords

Dosto Aapko ye to malum hi hoga ki hum keyword kaha par use karte hai agar aap apne post me keyword use nahi karte hai to ye bhi aapki traffic kam kar dega aap jis post ko likh rahe hai use related 4 se 5 kewords bhi dale post likhte samay jaise maine is post me tital de rakaha hai website ki traffic aise hi kuch aap bhi use kare apne post me jisse aapki traffic badh sake


Meta Tags:

dosto aap apne site me meta tags jarur add kare agar aapne meta tags abhi tak use nahi kiya hai to aap jarur use kare meta tags use karne google ko ye pata chalta hai ki aapke site par kya kya hai aur jab koi visitor search marta hai to google aapka site use related post uske samne rakh deta hai to aap meta tags bhi jarur add karle


dosto mai manta hu ki aapnse ye sab try kar liye honge aur agar aapka phir bhi traffic nahi badh raha hai to aap apne website design aur post content par dhyan de isse aapki traffic jarur jyada hogi



to dosto ye Jankari aapko kaisa laga comment me jarur bataye aur post se related koi sawall hai to comment me jarur puche aur aap mere site ke facebook page ko jarur like kare


Available link for download