Wednesday, June 28, 2017
Blogger Me Label Or Categories Widget Kaise Add Kare
Blogger Me Label Or Categories Widget Kaise Add Kare
Blogger Me Label Or Categories Widget Kaise Add Kare
hello dosto aaj mai aapko ye batane wala hu ki hum apne site me categories label widget kaise add karte hai
Blogger Me Label Or Categories Widget Kya Hota Hai?
label or categories ye ek widget jota hai taki jab koi visiter hamare site par
aye to wo hamare kisi bhi post ko jaldi se dhund sake agar aapne apne site
me label widget add nahi kiya hai to mai aapko ye kahunga ki aap ise add
jarur kare taki aapke visitor ko koi paresani na ho aur wo kisi bhi aapke post
ko aasani se dhund sake isse aapke visitor ko bahut aasani hogi uske wo
visiter aapke site par aane ko jarur sochega
Kiski Madad Se Hum Apne Bogger Me Categories Add Kar Sakte Hai?
label ki madad se hum apne blogger me categories dalte hai
blogger me categories kuch is praker kaam karta hai
jab hum apne blogger site me koi post likhte hai tabhi uske right sidebar post setting
me aapko ek label dikhega isme aapko ye dalna hota hai ki jub aap kisi subject par
post likhte hai label me wahi dala jata hai ki abhi jo aap post likh rahe hai wo kis
subject par hai agar aap kisi recharge tricks ke bare me post likh rahe hai to aap
label me recharge de sakte hai aise hi dena hota hai isse aapke visiter ko aapke
post ko padhne me aasani hogi
Blogger Me Label Or Categories Widget Kaise Jode Step By Step
Step 1: sabse pehle aap www.blogger.com par jaker login kare uske bad apne blogger ke dashboard me jaye
Step 2: ab aapko layout ka option dikhae dega aap layout par click kare
Step 3: ab aapko add a gadget par click karna hai aap kahi bhi kar sakte hai jaha aap label lagana chahte hai
Step 4: ab aapko label dikhe gaa ab aapko label ke plus wale option par click karke add karna hai
Step 5: uske bad aapko save par click karna hai aapka label categories aapke blog-site me add ho chuka hai
aap is image ko dekhkar apne label ko customize kar le jaise is image me dikhaya gaya ho
Blogger Me Kitne Label Add Kar Sakte Hai?
hum blogger me jitna chahe utna categories add kar sakte hai lakin mai aapko ye bata du ki label dalte samay lebel ka use ho faltu ke label jyada na banaye isliye agar aap bina matlab ke label use karenge to isse aapke visitor ko paresani ho sakti hai blog ki hum ek post ko 20 label tak jod sakte hai lekin mai aapse yehi kahunga ki aap jitna ho sake utna kam hi add kare
Labels Ko Blog Me In 3 Tariko Se Use Kare
1: aap ek label me 3 sabd se jyada sabd use na kare jaise .funny,jokes,sms aise hi chote use kare
2: aap ek post me 1,2,3, hi label use kare
3: label me sabd aisa rakhe ki visitor aapke label ko dekhkar ye samjh jaye ki is label me kya hai
Ye Post Bhi Padhe:
Agar Aap Blogger Ke Bare Me Jankari Pana Chahte Hai To Yaha Click Kare
Computer Ke Bare Me Adhik Sikhne Ke Liye YaHA Click Kare
Android Mobile Se Related Tricks Ke Liye Yaha Click Kare
ummid karta hu ye mera post aapko pasand aaya hoga aise hi tricks ki notification apne imel par pane ke liye aap hamare site ko SUBSCRIBE jarur kare aur Like bhi
agra aapko kahi dikkat aarahi hai to aap hame comment karke puch sakte hai
Available link for download